(Karbal se shaam, qaidi wo) x2
(Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2
Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n)

Maqtal mai(n) chaarsu ab ik hu ka hai aalam
Na Ghazi alamdar na Akber hai na Qasim
(Nok-e-Sina pe ab sabhi naazo(n) ke pale hai(n)) x2
Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n)
(Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2
Fil Qurba ki ayat ki ye tafseer hai logo
Nok-e-Sina pe chadar-e-Tatheer hai logo
(Lash-e-parhe hain her taraf aur khaime jale hai(n)) x2
Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n)
(Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2
Zehra ki laadli pe yeh kya waqat hai aaya
Na sar pe rida aur na babul ka hai saaya
(Aal-e-Abaa pe isterha haaye waqt dhale hai(n)) x2
Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n)
(Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2
Noha kuna zameen hai khoo(n) roya aasmaa(n)
Paband-e-salasal hai(n) chale meer-e-Karawa(n)
(Khoo(n) ro rahe hai(n) khaar jo paao(n) ke tale hai(n)) x2
Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n)
(Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2
Panjetan ke dar se tujhko qalam ataa hai
"Khursheed" tujh ko Saani-e-Zehra ki dua hai
(Tere sukhan ke phool yeh abhi phool phale hai(n)) x2
Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n)
(Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2
(Karbal se shaam, qaidi wo) x2
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2ItXmSQ
No comments:
Post a Comment