Thursday, 14 March 2019

Amma Fizza Main Noha Lyrics Irfan Haider 2015

Haaye..Haaye...
haaye

Sajjad ka beta, shahzada baqer
jab aaya madine, sota hi nahi tha
bus rota tha..(2)
ek shab fizza ne aake kaha
shehzade, kyu sote nahi ho mere aaqa zade
maula baqer ne roke kaha
ammaa....
dekha hai in aankho ne dada ke kate sar ko
na bhulunga mai wo karbobala
padhunga sada yahi marsiya
han mai rounga
mai rounga amma fizza mai rounga, mai rounga..(2)

1. Dekha hai in ankho ne jab karbobala pohche
darya pe lage khaime, darya se hate khaime
na bhulunga mai, wo tifl o jawaa
the tashna dahaa, labe alqama
han mai rounga
amma fizza mai rounga, mai rounga..(2)

2. Dekha hai in ankho ne ashoor ka wo manzar
lashe hi bayaban se sheh laate rahe dinbhar
na bhulunga mai, wo ranjo alam
sare dasht e ghum, hue sar qalam
han mai rounga
amma fizza mai rounga, mai rounga..(2)

3. Dekha hai in ankho ne naizo pe shaheedo ko
aur shame gharibaa me jalte hue khaimo ko
na bhulunga mai, chini chadare
jali masnade, mere saamne
han mai rounga
amma fizza mai rounga, mai rounga..(2)

4. Dekha hai in ankho ne kaunain ki shehzadi
jis waqt bani qaidi ghaazi ko bulati thi
na bhulunga mai, haram ka safar
chale nange sar, rasan pehenkar
han mai rounga
amma fizza mai rounga, mai rounga..(2)

5. Dekha hai in ankho ne kaato pe safar karna
un shaam ki galiyo me ek qaidi ka khoo rona
na bhulunga mai, saje bamodar
har ek gaam par, wo naizo pe sar
han mai rounga
amma fizza mai rounga, mai rounga..(2)

6. Dekha hai in ankho ne us waqt aseeri me
shabbir ki dukhtar ko jab manga kaneezi me
na bhulunga mai, haram rodiye
sabhi karb se, tadapne lage
han mai rounga
amma fizza mai rounga, mai rounga..(2)

7. Dekha hai in ankho ne zindaan ka wo manzar
laasha tha sakina ka beemar ke hatho par
na bhulunga mai, phuphi ki qaza
kafan bangaya, wo kurta jala
han mai rounga
amma fizza mai rounga, mai rounga..(2)

8. Dekha hai in ankho ne zindaa se reha hoke
wo ujde hue qaidi jab karbobala pohche
na bhulunga mai, ke daadi meri
ye kehne lagi, behen aagayi
han mai rounga
amma fizza mai rounga, mai rounga..(2)

9. Dekha hai in ankho ne irfan e aza bankar
dekho mere chehre ko har ghum ka hai ye mazhar
na bhulunga mai, kabhi karbala
wo qaide jafa, dayare saza
han mai rounga
amma fizza mai rounga, mai rounga..(2)


from hum ali walay azadar https://ift.tt/2Jeq2zA

No comments:

Post a Comment