Al-ajal ya imaam..(4)
Al-ajal, al-ajal ya imam-e-zamaan
Al-ajal, al-ajal ya imam-e-zamaan al-ajal..(2)
As-salam-o-alaika ya sahib-az-zamaa..
Tera hai intezaar aaja, ya imaam
Zehra ke pursadaar aaja, ya imaam
Waris-e-zulfiqaar aaja, ya imaam
Al-ajal ya imam
Aajaiye bus aap ka hi intezaar hai, intezaar hai
Is daur ka ilaaj faqad zulfiqaar hai, zulfiqaar hai
Behre inteqam-e-pehlu-e-zehra..(2)
Behre inteqam-e-khoon-e-husain
Aye gul-e-narjis biya biya..(2)
Aisa ho ek ashura, kaabe me majlis ho barpa
Tu mimbar pe jalwa numa, tu padhe majlis hum nauha
Tere bina ho kese khwaab ye pura
Kabe se nikle juloos-e-ashura
Ae ibn-e-sarallah, jaan-e shere khuda, waris-ul-aimmah, ae hujjat-e-khuda
Behre inteqam-e-pehlu-e-zehra..(2)
Behre inteqam-e-khoon-e-husain, hussain hussain hussain
Aye gul-e-narjis biya biya..(4)
Tu hai farzand-e-zehra todke sadiyo ka pehra
Tu hi jiska waris hai kabe tu wo alam lehra
Hum hi nahi hai azadaar hai tub hi
Tera alam hai alamdaar hai tub hi
Ae ibn-e-sarallah, jaan-e shere khuda, waris-ul-aimmah, ae hujjat-e-khuda
Behre inteqam-e-pehlu-e-zehra..(2)
Behre inteqam-e-khoon-e-hussain, hussain hussain hussain
Aye gul-e-narjis biya biya..(6)
Saath tere ye ehl-e-aza jaaye shaam aur karbobala
Qabr-e-shahedeen par jaakar de tujhe tere jadd kar pursa
Aisa banaye waha matami halqa
Jis me ali bhi ho, hasan bhi aur Mustafa
Ae ibn-e-sarallah, jaan-e shere khuda, waris-ul-aimmah, ae hujjat-e-khuda
Behre inteqam-e-pehlu-e-zehra..(2)
Behre inteqam-e-khoon-e-hussain, hussain hussain hussain
Aye gul-e-narjis biya biya..(6)
Qaatilan-e-sheh ko mita de, saara jahaa milkar ye sadaa de
Sayyad-us-shohada, hussain hussain
Mazloom-e-karbala, hussain hussain
Waris-ul-ambiya, hussain hussain
Ae ibn-e-sayyada, hussain hussain
Saare zamane me yahi gunje ek naara, hussain hussain
Aye gul-e-narjis biya biya..(6)
Aap hi qaaed ho hamare, farsh-e-aza pe har dil ye pukare
Sayyad-us-shohada, hussain hussain
Mazloom-e-karbala, hussain hussain
Waris-ul-ambiya, hussain hussain
Ae ibn-e-sayyada, hussain hussain
Masjid me bhi, mandir me bhi , gunje ek naara, hussain hussain
Aye gul-e-narjis biya biya..(6)
Ye jahaa bhool na jae kahi karbobala, al madad ya imam-e-zamaa
Ja bajaa dekhe nigaahe yuhi farsh-e-aza, al-madad ya imam-e-zamaa
Kaun hai waris-e- farsh-e-aza maula
Kise bulae tere siwaa..(2)
Aye gul-e-narjis biya biya..(6)
Marqad-e-khair-un-nisa pet u roza bana, al madad ya imam-e-zamaa
Zulm ki zadd pe hai roza bibi zainab ka, al madad ya imam-e-zamaa
Jab likha tujhko ariza yahi baat likhi
Kise bulae tere siwaa..(2)
Aye gul-e-narjis biya biya..(2)
Haay..
Manzar ye padhke aaj bhi hote hai dil figaar
Baithe hue hai aap musalle pe ashkbaar
Deodi pe zuljanaah ho alam bhi hai sogwaar
Pehlu me zulfiqaar hai chalne ko beqaraar, chalne ko beqaraar
Wirde zabaa hai ziyarat-e-naahiya baar baar
Haay..
Ho salaam unpe ke jin laasho ko paamaal kiya
Ho salaam uspe dame qatl jo pyaasa hi raha
Ho salaam uspe ke paikar se chhida jiska gala
Ho salaam uspe jo tukdo me bata wa waila
Jiska laasha mehroom-e-kafan uspe salaam
Jiska loota gaya ek din me chaman uspe salaam
Hussain maula hussain maula..(3)
Haay..
Jiske seene me hai barchi ki ani usko salaam
Jo tha hamshakl-e-rasool-e-madani usko salaam
Aag jis bibi ke daaman me lagi usko salaam
Nauke naiza se rida jiski chini usko salaam
Jinke baazu hue paband-e-rasan unpe salaam
Jinke zakhmi hue durro se badan unpe salaam
Hussain maula hussain maula..(3)
Sad alwida hussaina, hussain hussain hussaina
Ya hasrata hussaina, hussain hussain hussaina
Wa ghurbata hussaina, hussain hussain hussaina
Ae bekhata hussaina, hussain hussain hussaina
Bus taziyana harjaa, , hussain hussain hussaina
Haay Pehlu-e-bint-e-zehra, hussain hussain hussaina
Hussain maula hussain maula hussain
Bekas, Ghareeb, Shaheed, pyasa.
Hussain hussain hussain..
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2JulbdN
No comments:
Post a Comment