Hussain hussain hussain ya hussain
Hayya ala khairil amal
Hussain hussain hussain ya hussain
Ya Hussain, Ya hussain
Farzand-e-zahra aba abdillah, sada de rahe hai maqtal se..
Tumhe rasool ki beti ka salaam
Har jagah majlise bapa karna
Karbala walo se wafa karna
Zindagi waqf-e-karbala karna
Sunnat-e-zainab-o-sajjad nibhane keliye
chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2)
Husaini fikr ko zinda rakho badhao qadam
Nazar me rakho alamdar-e-karbala ka haram..(2)
Kaisi qismat kaha ki taqdeerein
Chodkar dehr ki ye jageerein
Tod kar waqt ki ye zanjeerein
Apne bachho ko alamdaar banana ke liye
chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2)
zamee se arsh-e-moalla ka faasla hai bohot
magar husaini qabeele ka hausla hai bohot..(2)
bint-e-zehra pe bharosa to karo..
apni takhleeq pe socha to karo
saath wo dengi iraada to karo
chaand par parcham-e-abbas lagane ke liye
chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2)
jahan hussain nahi ho wo koi ghar to nahi
qasam hussain ki ye kaam bhi mushkil to nahi..(2)
marefat kya hai batane ke liye..
roz meraaj pe jaane ke liye
uski tauqeer badhane ke liye
hauz-e-kausar pe in ashko ko milane ke liye
chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2)
arsh ho khuld ho kausain ya karbal ki zamee
tum azadaar ho tum par koi pabandi nahi..(2)
haisiyat apni khudara samjho..
ye bhi zehra ki hai ata samjho
kya hai ye zikr-e-karbala samjho
saari duniya ko azakhana banana ke liye
chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2)
shahe dilgeer ki hamsheer ka matam na ruke
saans ruk jaye ye shabbir ka matam na ruke..(2)
duniya walo ne isko kya jaana..
kya hai shabbir ka ye afsana
qaid khana ho ya azakhana
maqsad-e-hazrat-e-shabbir bachane ke liye
chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2)
ek halqa ho azadaro baraye matam
hai isi baat me poshida baqae matam..(2)
sabke seeno me ho tazeem-e-aza..
hone dena nahi taqseem-e-aza
haan ise kehte hai tanzeem-e-aza
halqa-e-matam-e-shabbir badhane ke liye
chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2)
kya kabhi bhool sake shaam-e-ghareeba ka dhua
dast-e-shabbir pe asghar to kabhi laashe jawaa..(2)
gunji maqtal me ye zainab ki sadaa..
roke ye khaak nasheeno se kaha
rahe koofa ho ke bazaar-e-jafa
mere mazloom ka paighaam sunane ke liye
chalo chalo, Chalo chalo ke jaha farsh-e-aza lejaye, chalo chalo..(2)
jab mila hukm-e-rehai to ye zainab ne kaha
qaidiyo aao kare matam-e-shabbir bapa
aao fizza padho hadis-e-kisa
marsiya tum padho kulsoom zara
zakiri tumkaro ae zainul eba
aisa matam ho mere bhai ka
gunj uthi mazhar-o-irfan sadaa..
khuld se aagai hai maa zehra
nauha sunne ko mere baqer ka
ya abbasa hussaina..(2)
ya mazlooma hussaina
ya asghara hussaina
ya akbara hussaina
ya qasima hussaina
ya zainaba hussaina
ya sakina hussaina
ya aliya hussaina
ya fatema hussaina
Hussain hussain..
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2O7Ubzg
No comments:
Post a Comment