(Baba tera shere khuda, tu wafaaon ka hai shehenshaa) x2
(Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x3
(Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai
(Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2
Abbas ka ye parcham, karbal ki nishaani hai
Wabasta isi se kuch pyaason ki kahani hai
Meyaar wafaaon ka azmat ki alamat hai
(Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai
(Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2
(Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai
(Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2
Zaalim ne kiye dono baazu bhi kalam dekho
Uncha hi raha phir bhi ghazi ka alam dekho
Zainab ki duaaon se ab tak ye salamat hai
(Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai
(Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2
(Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai
(Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2
Sar aaj bhi uncha hai har ek namazi kaa
Islam yaqinan ye ehsaan hai ghazi kaa
Jo aaj talak teri saanso mei hararat hai
(Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai
(Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2
(Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai
(Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2
Maula ki zarih piche aage hai alam dekho
Karbal ki tarhaa abhi mehsus huwa mujko
Matam ke juluson mei ghazi ki kayadat hai
(Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai
(Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2
(Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai
(Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2
Sine se lagaa rakhna ghar ghar pe sajaa rakhna
Har shaam diye iski chokhat pe jalaa rakhna
"Jawaad" ye sadyon se momin ki ibadat hai
(Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai
(Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2
(Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai
(Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2T1Ymxu
No comments:
Post a Comment