hussain.......(4) Ya hussain
Yabnaz zehra .....ya hussain,hussain hussain hussain, hussain. .....4
Ye meri izzato taukeer tera sadqa hai....2
Ye meri ashko ki jagir tera sadqa hai......2
Mujhko jo kuch bhi Mila maula tere dar se mila.......
Meri dhadkan se hamawaqt sadaa aati hai. ..
YA hussain......2
Haaza min karame Hussain ibne Ali......4
1. Sayyada fatema zehra ka huwa mujhpe karam, mil gaya farshe azaa aur alam,
Aur kya mangu bhalaaaa......2
tujhse mujhe kya na mila
ankh kholi to mujhe ghar me azakhana mila....
Jab alam dekha toh ye baat kahiiìiiii......
Haaza min karame Hussain ibne Ali......6
2. Mujhko maa baap se virse me milaa farshe aza, ye mukaddar na farishto ko mila,
tarbiyat aysi miliiiiiii.........2
Khud hi sajaata hu alam
Bhul jaata hu zamane ke sabhi ranjo alam,
Likhne wale ne ye taqdeer likhiiiii......
Haaza min karame Hussain ibne Ali......6
3. Aag par chalna, ye zanjeer zani aur kamaa,
Zindagi Jeete hai bas ehle aza,
Khoon tehleel huwaaaaaa.....2
Par na mujhe aayi qaza,
Ek zanjeer se das logoh ne maatam bhi kiya,
Khoon behne se meri maut tali...
Haaza min karame Hussain ibne Ali......6
4. Haath sine pe agar maaro toh ruk jaata hai dil,
Saas lene se bhi katrata hai dil,
Umr bhar karta rahaaaa.....2
Matame shabbir bapa
Na ruki Saas na is dilne dhadakna choda
Dilki dhadkan se sada aane lagiiiì.........
Haaza min karame Hussain ibne Ali......6
5. Aagaya mera bulawa jo sue karbobala
Mai bina zaade safar ghar se chaala
Ankh me ashke azaaaaa......2
Lab pe buka Sinaa zani
Jab chala ghar se mere sath tha saman yahi
KARBALA dekhi toh mai bola yahi
Haaza min karame Hussain ibne Ali......6
6. KARBALA ho ya MADINA ho ke MASHAD ya NAJAF
Har ziyarat ka mila mujhko sharaf
Saari duniya me gayaaaaa......2
Aur yahi nauha padha
Mai toh shabbir ka zakir hu meri baaat hi kya
Mujhko is dar se hi taukeer mili...
Haaza min karame Hussain ibne Ali......6
7. Mere hamraah wo karta hai aqide ka safar
Mere jaisa hai mera lakhte jigar
Kaam kuch aur nahiìiiii......2
Majliso matam ke siwa
Shukr sad shukr ke awlaad ko virsaa ye mila
Nauha padhta hai mera NAADE ALI......
Haaza min karame Hussain ibne Ali......6
8. Hur ke laashe pe juhi pohche shahen shahe huda
Aankh me ashq the aur lab pe bukaa
Hur ki peshani koooooo......2
Rumaal jo zahra ka mila
Apni taqdeer pe naaza vo dilafgaar huwa
Hur ke laashe se sadaa aane lagi
Haaza min karame Hussain ibne Ali......6
9. Roz ek nauha nayaa likhta hai MAZHAR ka kalam
Mujhpe maula ka hai ye khaas karam
Aur saitees barasssss.....2
Hogae irfaane azaa
Zikre shabbir se ek pal bhi tu ghaafil na raha
Hamne mimbar pe yahi baat kahiiiii.......
Haaza min karame Hussain ibne Ali......6
HAAZA MIN KARAME HUSSAIN IBNE ALI (A.S)
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2HiG0Xz
No comments:
Post a Comment