Hussain o minni wa ana minal hussain
Hussain, hussain, hussain ya hussain..(2)
Sada e rabb e jaha'n..(3)
Jabee'n kushada hussain
batool zada hussain
mera irada hussain
nibhane wada hussain
malaeka ki safo se nuzool tak pohcha
phir ambiya ki safo se rasool tak pohcha
mere hussain ka duniya mein jab zahoor hua
rasool e haqq ne padha hukm e rabb se ye kalma
hussain o minni wa ana minal hussain..(2)
bata gaya hai nabi khuda ka..(2)
hussain mujhse hai, mai hussain se hu
hussain o minni wa ana minal hussain
hussain, hussain
hussain o minni wa ana minal hussain
hussain, hussain
1. Misaal e fatah e badr o hunain mera hussain
meri batool ki aankho'n ka chayn mera hussain
khuda ke deen ki hai zayb o zayn mera hussain
hai mere baad shah e mashraqayn mera hussain
zamane bhar ki pukaar hai ye
mere lahoo ka weqaar hai ye
ye mera jism, meri jaan, mere dee'n ki baqa
hussain o minni wa ana minal hussain
hussain, hussain
2. Kul ambiya ki amanat isi ke haath mein hai
usool e deen, shariyat isi ke haath mein hai
meri baqa meri izzat isi ke haath mein hai
kalam e paak ki hurmat isi ke haath mein hai
lahu se aisa payaam dega
shari'ato'n ko amaan dega
meri hadees ki tafseer hogi karbobala
hussain o minni wa ana minal hussain
hussain, hussain
3. Khuda ke hukm ki tameer hogi maqtal mein
ali ke ishq ki takmeel hogi maqtal mein
bisaat deen ki tabdeel hogi maqtal mein
hayaat maut ki qandeel hogi maqtal mein
hussain mujhko nijaat dega
ye deen e haq ko hayaat dega
ye raaz jaan ke mere nabi ko kehna pada
hussain o minni wa ana minal hussain
hussain, hussain
4. Ye meri god mein hai aur tasawwurat mein kya
mere hussain ka maqtal bani hai karbobala
ghumo se choor thakan se nidhaal sar pe qaza
mitake bay'at e fasiq bachake deen e khuda
lahu se darya ko laal karke
yazidiyat ka qetaal karke
jo qatl gaah ki janib badha to rabb ne kaha
shukriya, shukriya, shukriya
hussain tera shukriya
shukriya, shukriya, shukriya
hussain tera shukriya
hussain tera shukriya
hussain tera shukriya
hussain tera shukriya
keh raha hai khuda, hussain tera shukriya
ke tune deee'n bachaliya, hussain tera shukriya
jo ambiya se nahi ho saka wo tune kiya
shukriya, shukriya, shukriya
hussain tera shukriya
hussain tera shukriya
5. Teri himmat pe ye kaunain fida tashna dahan
tune jo waada kiya pura hua tashna dahan
khoo'n se maqtal ko jo sayraab kiya tashna dahan..(2)
ibn e zahra o ali
aye wali ibn e wali
tujhse mai raazi hua, aye shahe karbobala
aisa maqtal saja diya tune
marke jeena sikha diya tune
hashr tak karte rahenge ye shaheedan e wafa
as-salam o alal hussain, wa ala aliyibnil hussain
wa ala auladil hussain, wa ala ashabil hussain
Majlis o matam ki baqa
Hussain
Hai ye tere ehle azaa
Hussain
Matami seeno se suno
Hussain
Aati hai labbaik sadaa
Labbaik ya hussain..(4)
Ye matami lashkar hai himmat ka samandar hai
aayi jo alamdari har fard dilawar hai
dekho to wafadari dekho to ye khuddari
marne ki ye tayyari aur lab pe sadaa jaari
kya nazra ki takleefo mein mazaaa
jab maut aayega jawani mein
kya lutf janaza uthne ka
har gaam pe jab matam na ho
Hussain ya hussain..(4)
Marne chala jo ghar se koi matami jawaa'n
ye kehke azm uska badhati hai uski maa
roke hai meri aankh se aasu abhi rawaa'n
lekin jo maut saamne aaye to meri jaa'n
himmat na haar jana qasam hai batool ki
kar lena yaad jung shabeeh e rasool ki
Hussain ya hussain..(4)
Wo teen din ki pyaas wo akbar wo fauj e shaam
wo dhoop razm gaah ki wo nusrat e imaam
tegho ki chhao teero ka meyaar o ajdahaam
naiza kisi ka aur jigar e akbar e anaam
bijli si har taraf khaso khashaak par giri
tasveer mustafa ki juhi khaak par giri
Hussain ya hussain..(4)
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2HAIwbP
No comments:
Post a Comment