Thursday, 14 March 2019

Kehdo Yeh Zainab Nahi Noha Lyrics Irfan Haider 2017

Haye bazaar, haye zainab..(2)
Ya rab tu meri chashm e tasawwur ko yaqee de
be parda aseero mein ye zainab to nahi hai
shaam ke bazaar mein, ye kaun aaya berida
kehdo ye zainab nahi..

1. Zakhm jiske padh rahe hai, aayatein
jis ke chehre se ayaa'n hai, zehmatein
aayi hai kis des se, maqdooma e sharm o haya
kehdo ye zainab nahi..

2. Kar rahi hai khaak udaa kar, kyu buka
aur lab par wa hussaina, ki sadaa
iske lab par kyu sadaa hai, ya ali ya ayliya
kehdo ye zainab nahi..

3. Nauke naiza par saro'n ko , dekhkar
apne sar ko peet-ti hai, nauhagar
aake jo bazaar mein karti hai marne ki dua
kehdo ye zainab nahi..

4. Bus ye nauha sunke mai hu, beqaraar
haye ghazi keh rahi hai , baar baar
wo jo karti hai fugha, karta hai mera dil buka
kehdo ye zainab nahi..

5. Bediyo'n mein qafela salaar hai
ye na kehna abid e beemar hai
wo jise kehkar phuphi, har gaam deta hai sadaa
kehdo ye zainab nahi..

6. Is ka nauha sunke roye dil mera
kisko kehti hai shabeeh e mustafa
haye akbar kehke jo padhti hai rokar marsiya
kehdo ye zainab nahi..

7. Ye samajhne se hu mai qasir yaha'n
kyu chupati hai ise sab bibiya'n
jis ke parde ke liye salaar hai mehwe buka
kehdo ye zainab nahi..

8. Kaifiyat aisi hai mazhar abidi
isko padhkar ro diya irfan bhi
jab kiya nauha raqam, khud mere dil ne ye kaha
kehdo ye zainab nahi..


from hum ali walay azadar https://ift.tt/2TDnqzZ

No comments:

Post a Comment