Tuesday, 19 March 2019

Khudara Haye Khudara Noha Lyrics Irfan Haider 2013

Haaye
Haye Sughra (sa) .....2
Yeh Khat Mein Baba Ko Sughra (sa) Ne Likha Haale Tapa-
Tumhare Baad Huwe Teen Eidi Baba Jaan-
Shabe Baarat Huwi Dusre Mahine Aaiya-
Baruye Hamza Nathi Mujh Mein Fateha Ki Tavaa-
Arey Tamam Roz Tadapte Tadapte Raat Huwi-
Hamare Ghar Mein Na Eid-e-shabe Baarat Huwi-
Hamare Ghar Mein Na Eid-e-shabe Baarat Huwi....

Woh Roz To Gaya Din Eid-e-fitr Ka Aaya-
Ghaar Aan Kar Meri Humjoliyo Ne Rulwaya-
Kisi Ne Gehna Kisi Ne Libas Dikhlaya-
Koi Yeh Buli Ke Eide Mein Humne Yeh Paaya-
Har Ek Kush Tha Magar Mere Lab Pe Naale The-
Safar Mein Sab Meri Eidi Ke Dene Waale The-
Safar Mein Sab Meri Eidi Ke Dene Waale The....

Woh Kush Ho Eid Mein Kya Jo Kalap Ka Maara Ho-
Arey Qasam Lo Baba Jo Qurta Pbata Utaara Ho-
Watan Mein Laut Ke Aana Jo Phir Tumhara Ho-
To Phir Se Eid Ho Nauroz Bhi Dubara Ho-
Arey Hamari Eid To Qunbe Ke Deed Hai Baba-
Jab Aap Aaye Usi Roz Eid Hai Baba-

Babaaa-

Khudara Haye Khudara .....2

Laut Bhi Aao Ay Mere Baba....
Tut Na Jaaye Saso Se Rishta....
Khudara Haye Khudara .....2

Hujro Mein Sare Shaam Diye Kaun Jalaye-
Bus Mein Ho Ya Tanhai Hai Ya Dard Ke Saare-
Arey Raat Andhero Mein Basar Karti Hu Baba-
Khudara Haye Khudara .....2

Laut Bhi Aao Ay Mere Baba....
Tut Na Jaaye Saso Se Rishta....
Khudara Haye Khudara .....2

Yeh Haal Kiya Aap Ki Furqat Ne Ay Baba-
Quran Bhi Padhti Hu To Banjaata Hai Nauha-
Arey Hota Nahi Aap Ke Bin Mera Guzara-
Khudara Haye Khudara .....2

Laut Bhi Aao Ay Mere Baba....
Tut Na Jaaye Saso Se Rishta....
Khudara Haye Khudara .....2

Qasim (as) Kabhi Yaad Aaye Kabhi Akbar (as) Zishaan-
Yaad Aaye Sakina To Kabhi Asgare (as) Naadan-
Arey Kaun Hai Tanhayi Mein Jo Dega Dilasa-
Khudara Haye Khudara .....2

Laut Bhi Aao Ay Mere Baba....
Tut Na Jaaye Saso Se Rishta....
Khudara Haye Khudara .....2

Tum Aao To Hamraah Chale Aayege Akbar (as)-
Armaan Nikalugi Unhe Dulha Banakar-
Arey Baba Nahi Ab Meri Saanso Ka Bharosa-'
Khudara Haye Khudara .....2

Laut Bhi Aao Ay Mere Baba....
Tut Na Jaaye Saso Se Rishta....
Khudara ,haye Khudara .....2

Sunti Hu Ke Qasim (as) Ki Wahan Shadi Rachayi-
Kya Fatema Sughra (sa) Ki Tumhe Yaad Na Aayi-
Arey Waada Rahan Neg Nahi Mangugi Apna-
Khudara Haye Khudara .....2

Laut Bhi Aao Ay Mere Baba....
Tut Na Jaaye Saso Se Rishta....
Khudara Haye Khudara .....2

Woh Dard Jo Bimaar Ne Baba Ko Likhe The-
"rehan Ya Irfan" Bayaan Kaise Karege-
Arey Kijiye Imdaad Anise Shahe Waala-
Khudara Haye Khudara .....2

Laut Bhi Aao Ay Mere Baba....
Tut Na Jaaye Saso Se Rishta....
Khudara Haye Khudara..... 6


from hum ali walay azadar https://ift.tt/2OfMUxp

No comments:

Post a Comment