Hussain
Suno hussainiyo
Ab jald utho tabahiye batil ke waste
Taighen uthen Hussain as ke qatil ke waste
Baki nahi raha hai koi or marhala
Ab samina Hai maut ka or sirf maut ka
Saanche main dhalne ke liye kaainat ko
Ab tolna hai noke sina par hayaat ko
Badhti hui jawan umango se kam lo
Han tham lo Hussain as ke daman ko tham lo
Haq ke chide hue hain jo yeh saz doston
Yeh bhi usi jari ki hai awaz dosto
Nasle Hussain as haq ke liye aarzo
karo talwar ki zaban main hi guftago karo
Lehje main zulfiqar ki jhankar dosto
Ailan ho labon pe lagatar dosto
LABAIK YA HUSSAIN AS
Moula tera maqtal
meri aankhon main basa hai
Hal min ki sada sun ke
lahoo bol raha hai
LABAIK YA HUSSAIN AS
Han aye Hussain as ibne Ali as
Hum tere nisar is dill ka tere ishq ne
Youn kar liya hissar hum fitratan hain
Roze azal se hi azadar
rehte hain Hum har waqt
tere gham ke talbgar
Jis dill main tera gham hai
Usi dill ki sada hai
Hal min ki sada sun ke lahoo bol raha
LABAIK YA HUSSAIN As
ke talbgar jawano
Ab sar se kafan bandh lo bedar jawano
Hojao bas ab jung ke tayar jawano
Is waqt ke baatil se khabardar jawano
Han nusrat e shabeer ka
moqayeh milla hai
Hal min ki sada sun ke lahoo bol raha hai
LABAIK YA HUSSAIN (As)
Hum tere wafa dar hain
LABAIK YA HUSSAIN
Hum tere azadar hain
LABAIK YA HUSSAIN
Marne ko bhi tayar hain
LABAIK YA HUSSAIN
Is jeene se bezat hain
LABAIK YA HUSSAIN
Ashqon main lahoo
jism ka tabdeel hua hai
Hal min ki sada sun ke lahoo bol raha hai
LABAIK YA HUSSAIN As
LABAIK LABAIK LABAIK YA HUSSAIN As
Mere hussainiyo karbala maqtale Hussain as bani
Or is maqtal se
istaghasa e hussain ibne Ali as
1400 sadiyon se fiza main goonj raha hai
To koi hai jo fatima ke laal ki
Awaz par labaik kahe
Suno hussainiyo
Suno matmi jawano
Is sadaye istaghasa par labaik kehne ke liye
Jhon habib sa jazba chahiye
Meesam o salman sa sabir chahiye
Labon par labaik ya Hussain ki sada saja kar
Parda dar Hussaini maayen behne betiyan
yeh jawano peer kasre batil ke daro ban hila den
Soorma fitnaaye batil ko mita dete hain
Khoon behke huye zarron ko pila dete hain
Apne chaandon ko andheron main sula dete hain
Apni godi ke charaghon ko bujha dete hain
Misl e shabeer a.s jo paigham e Alan dete hain
Aisi hi log zamane ko badal dete hain
Labaik ya Hussain a.s
Karvan aata hai koi bhi ziyarat ke liye
Asil main jaata hai shabeer a.s ki nusrat ke liye
Jab qadam koi utha
Janib e karb o bala
Aankh se ashk gire dill tadap kar bola
Aye shahe karb o bala jan o dill tujh pe fida
Sun mere dill ki sada
Roze ko tere dekh ke dill kehne laga hai
Hal min ki sada sun ke lahoo bol raha hai
LABAIK YA HUSSAIN AS
Han naarae takbeer hai
Labaik YA Hussain as
Eman ki takmeel hai
Labaik YA Hussain as
Esar ki tasweer hai
Labaik YA Hussain as
Bas khoon se tehreer hai
Labaik YA Hussain as
Bas manzar e labaik to maazi se juda hai
Hal min ki sada sun ke lahoo bol raha hai
LABIAK YA HUSSAIN AS
tu madene se chala
Haj ko tabdeel kiya umre main
Ba deedai tar
Samine virde khuda
Dill tadapta tha tera
Wo tawaafe kaaba or labon par yeh sada
لبيك اللهم لبيك
لبيك لا شريك لك لبيك
ان الØمد ونعمت لك ولملك لا شريك لك
Jab ada hogaye arkaan
sabhi shahe umang
Do mohram ko rakha
Dashte bayan ban main qadam
Saatween subho hui
Ik qayamat thi nae
Nehar se khaime haty bandishe aab hui
Piyas manzoor hui
Har khushidoor hui shab e aashoor hui
Phir asir ka hungam sare karb o bala hai
Hal min ki sada sun ke lahoo bol raha hai
LABIAK YA HUSSAIN AS
wo dekh sere karb o bala asir ka hungaam
Nargha hai sitamgaaron ka
Tanha mera imam as
Ik bar dekha laashon ko
Karne lage kalaam
Aao madad ko akbar o abbas tashna gam
Tanha hoon laeeno se mujhy aake bacha lo
Aye mere shaheedo meri imdad ko aao
Aao Abbas e jari Ali akbar ho kahan
Qasim e tashna dihan bibiyan hain tanha
Chin na jaaye parda aao imdad karo
Aye rasool e dosara
Sun kar yeh sada jhooly se besheer gira hai
Hal min ki sada sun ke lahoo bol raha hai
LABIAK YA HUSSAIN AS
Jab chale mazhar aabideen ye qalam
Ho ada qarz shehnshaahe umang
Jo bhi eman kahe wohi irfan kahe
LABIAK YA HUSSAIN AS
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2TAUF1R
No comments:
Post a Comment