
Bar Muhammad wa aal-e-Muhammad salawaat
Allahuma salle ala Muhammadin wa aal-e-Muhammad
(Manam safeer-e-aza) x2 Manam safeer-e-Karbala
Zamee(n) pe hamko bhejkar (Nabi se rabne kehdiya) x2
Yahi to hai wo kaam jo karengi zikr-e-karbala
Qabila inka eik hai, Wasila inka eik hai
Hussain ke hai matami jo kehrahe hai par mala
Maa(n) ki godi mei suni mene ye nawho(n) ki azaan
Gutniyo(n) chalne jo paaya to mila farsh-e-aza
Sheer-e-madar se mere khun mei ye baat basi
Jab talak saans rahe, jaari rahe lab pe sada
Manam safeer-e-aza
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
Labo(n) pe hai yahi sada, (mujhe hai fakhr bakhuda) x2
Sabab mere wujood ka bani dua-e-Sayyeda
To kyu(n) na jaawu(n) har jaga, Bara-e-majlis-e-aza
Sikaarte aza ka kaam Sayyeda ne de diya
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
Suno(n) mere Hussayniyo, (meri sada mei saath do) x2
Nadeem-e-shaah-e-Karbala jo mei bhi hu(n) jo tum bhi ho
Kaho ye baat har jaga, Saja ke lab pe karbala
Tumhaare khu(n) ki eik eik bund se uthe sada
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
Gineez book hai cheez kya (falak pe likha jaayenga) x2
Tumhaara naam aur iska saath safeer-e-aza
Magar bas eik shart hai, Zabaa(n) tumhaari jab khule
Sunaao(n) maqsad-e-Hussain bas ye kehke har jaga
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
Jo hai yazeed ke pisar (zabaa(n) kaat de agar) x2
Lahu se ik sada uthe, kare hawaao(n) mei safar
yazeed ke sipaahiyo(n), suno meri sada suno
Tumhare bas ki baat hi nahi ke mujhko do qaza
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
Hamari dars gaah ka (pata hai sirf karbala) x2
Hamara dil pe hukmaraan hai pisaar Batool ka
Jahaa(n) bhi ham rakhe qadam, rahenga dosh par alam
Alam utha ke bawafa ka ham kahenge har jaga
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
Sikhaaya waalidayn ne (lahu pe tere qarz hai) x2
Ye zikr-e-Shaah-e-karbala labo(n) pe har ghari rahe
Charaagh-e-haq jaalaye jaa, Zamane ko bataaye jaa
Mei zakir-e-Hussain hu(n), Hasab nasab hai ye mera
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
Meyaan-e-dasht-e-karbala (har ik shaheed-e-basafa) x2
Badan pe teer khaa ke de raha tha bas yahi sada
Shaheed-e-tashnakaam hu(n), Hussain ka ghulaam hu(n)
Meri hayaat ka do aam, hai yahi laqab mera
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
Wo bint-e-Shaah-e-La Fatah (Huwi jo qayd se riha) x2
To usne qayd-e-zulm mei manaaya gham Hussain ka
Wo pehli majlis-e-aza, Bapa huwi to ye kaha
Hussain tu gawaah hai, bani hu(n) baad-e-karbala
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
Sada hai ye "Irfan" ki (suno to "Mazhar Abidi") x2
Gham-e-Hussain ke liye hai waqf meri zindagi
Jahaa(n) talaq mere khuda, Karengi zindagi wafa
Mere badan se ruh se lahu se aayengi sada
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2TAYd49
No comments:
Post a Comment