Maatam karo shabbir ka, hai zainabe dilgir ka. Shabbir tera maatam, momin ki nishani hai
Bakshish ki zamaanat hai, jo aankh me paani hay
Maatam karo shabbir ka, hai zainabe dilgir ka. Shabbir tera maatam, momin ki nishani hai
Yeh daagh nahin logo, hai mojiza maatam ka. Sine pe likhi mere, kerbal ki kahani hai
Maatam karo shabbir ka, hai zainabe dilgir ka. Shabbir tera maatam, momin ki nishani hai
Ghazi ka alam leke, baazaar me aayee hai. Rudaad aseeron ki, duniya ko sunani hai
Maatam karo shabbir ka, hai zainabe dilgir ka. Shabbir tera maatam, momin ki nishani hai
Zainab ne shuruu ki thi, zindaan me azadari. Sadiyon se chali aayi, yeh reet purani hai
Maatam karo shabbir ka, hai zainabe dilgir ka. Shabbir tera maatam, momin ki nishani hai
Aayi hai sadaa ab bhi, kerbal ki fizaaon se. Shabbir haqeeqat me, islam ka baani hai
Maatam karo shabbir ka, hai zainabe dilgir ka. Shabbir tera maatam, momin ki nishani hai
De pursaa bahatar ka, zahra ke lute ghar ka. Har saal muharram me, yeh yaad dilani hai
Maatam karo shabbir ka, hai zainabe dilgir ka. Shabbir tera maatam, momin ki nishani hai
Mazloom ke mataam, marna hi sa’adat hai. Waise bhi jawaan ek din, yeh jaan to jaani hai
Maatam karo shabbir ka, hai zainabe dilgir ka. Shabbir tera maatam, momin ki nishani hai
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2J7ZC2j
No comments:
Post a Comment