Ya hussain, ya hussain..(2)
Hussain imam hussain, haider..(8)
Hussain imam hussain
haider haider haider
Ya hussain
Ghode se jab zamee'n pe gire shahe karbala
shahe karbala
nikle madina chodke sultan e ambiya
sultane ambiya
Haider chale najaf se baqayya se fatima
baqayya se fatima
gunji ba waqt e asr ye jibreel ki sadaa
har imteha se guzar gaya..(2)
zehra o ali ke dil ka chayn
hussain, hussain, hussain, hussain
Qatl hua be jurm o khata..(2)
nabi ka nawasa pyaara hussain..(2)
hussain, hussain, hussain, hussain
1. Ye wo hussain hai eid pe jisko
jannat se kapde bheje khuda
haye ghareebi dasht e bala mein
hoga abhi pamaal e jafa
yahan kafan bhi na payega..(2)
zehra o ali ke dil ka chayn
hussain, hussain, hussain, hussain
Qatl hua be jurm o khata..(2)
nabi ka nawasa pyaara hussain..(2)
hussain, hussain, hussain, hussain
2. Haan ye wahi quran e mubee'n hai
jisko padha karte the rasool
jiske liye tabdeel kiye hai
rabbe jali ne apne usool
khuda se hargiz nahi juda..(2)
zehra o ali ke dil ka chayn
hussain, hussain, hussain, hussain
Qatl hua be jurm o khata..(2)
nabi ka nawasa pyaara hussain..(2)
hussain, hussain, hussain, hussain
3. Naaz uthaye jiske khuda ne
jiske liye naaqa the nabi
usko mile is karbobala mein
daaghe pisar aur tishna labi
hazaar zakhme utha gaya..(2)
zehra o ali ke dil ka chayn
hussain, hussain, hussain, hussain
Qatl hua be jurm o khata..(2)
nabi ka nawasa pyaara hussain..(2)
hussain, hussain, hussain, hussain
4. Zulf e nabi ho jiska khilona
jiska bichona arsh e ola
pusht e faras se jab wo gira to
uska badan teero pe ruka
zameen par bhi na aa saka..(2)
zehra o ali ke dil ka chayn
hussain, hussain, hussain, hussain
Qatl hua be jurm o khata..(2)
nabi ka nawasa pyaara hussain..(2)
hussain, hussain, hussain, hussain
5. Ho jiski maa ke meher mein kausar
aur wo khud sardar e jina
aath peher se wo pyasa hai
mehve buka hai khushk zabaa'n
ghira laeeno mein bekhata..(2)
zehra o ali ke dil ka chayn
hussain, hussain, hussain, hussain
Qatl hua be jurm o khata..(2)
nabi ka nawasa pyaara hussain..(2)
hussain, hussain, hussain, hussain
6. Paala jise aanchal mein chupakar
binte nabi ne mere khuda
aaj sawa neze pe suraj
jaye amaa'n hai sirf qaza
zameen e maqtal pe soyega..(2)
zehra o ali ke dil ka chayn
hussain, hussain, hussain, hussain
Qatl hua be jurm o khata..(2)
nabi ka nawasa pyaara hussain..(2)
hussain, hussain, hussain, hussain
7. Jiska padhe qur'aan qasida
jiske fazael mein hai azaa'n
uske liye duniya ne uthaye
teer o tabar talwar o sina
sina pe qur'aa sunayega..(2)
zehra o ali ke dil ka chayn
hussain, hussain, hussain, hussain
Qatl hua be jurm o khata..(2)
nabi ka nawasa pyaara hussain..(2)
hussain, hussain, hussain, hussain
8. Haan ye sada irfan aur mazhar
sunke buka karte the nabi
sheh ke gale par chal gaya khanjar
roke bahan ye kehne lagi
tamaam waade nibha gaya..(2)
zehra o ali ke dil ka chayn
hussain, hussain, hussain, hussain
Qatl hua be jurm o khata..(2)
nabi ka nawasa pyaara hussain..(2)
haye kyaa zulm mohammad ke nawase pe hua
dasht mein gunj uthi ye zainab e muztar ki sadaa
halq e shahedee'n kata
wa hussaina
pyaaso pe khanjar chala
wa hussaina
arey, lut gayi aale iba
wa hussaina
aaiye shere khuda
wa hussaina, wa hussaina
wa hussaina, wa hussaina
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2u8aAKU
No comments:
Post a Comment