Haay hussain (x4)
Ro rahi hai aaj tak shabbir khak-e-karbala (x3)
Go mualla mei huwi, afsos tu zibha huwa (x2)
Ro rahi hai aaj tak shabbir khak-e-karbala (x2)
1) Jab chupaaya mene daman, mei tere besheer ko (x2)
Zaalimon ne nezon se, seena mera chalni kiya
Go mualla mei huwi, afsos tu zibha huwa (x2)
Ro rahi hai aaj tak shabbir khak-e-karbala (x2)
2) Thartharayi khoob peeti, aur rowi khoob thi (x2)
Hassan ki bewa ke armaanon ka chehra jab luta
Go mualla mei huwi, afsos tu zibha huwa (x2)
Ro rahi hai aaj tak shabbir khak-e-karbala (x2)
3) Rubaru mere huwe the, ambhiyaa par zulm bhi (x2)
Lasha-e-Akbar tarapta, mujhe se na dekha gaya
Go mualla mei huwi, afsos tu zibha huwa (x2)
Ro rahi hai aaj tak shabbir khak-e-karbala (x2)
4) Bachon ko ye aas di ke, chacha paani laayenga (x2)
Pani ka na pohnchna ghazi ke dil ko khaa gaya
Go mualla mei huwi, afsos tu zibha huwa (x2)
Ro rahi hai aaj tak shabbir khak-e-karbala (x2)
5) Go mei parda ban gayi thi, waris-e-tatheer ka (x2)
Khaak sar Zainab mei ya rab waqt kaisa aagaya
Go mualla mei huwi, afsos tu zibha huwa (x2)
Ro rahi hai aaj tak shabbir khak-e-karbala (x2)
6) Lasha-e-Aun-o-Muhammad, par koi waris na tha (x2)
Sabr Zainab dekh kar, mun ko kaleja aagaya
Go mualla mei huwi, afsos tu zibha huwa (x2)
Ro rahi hai aaj tak shabbir khak-e-karbala (x2)
7) Munkir-e-sajda-e-Adam, hoke shaytaan hogaya (x2)
Sajda-e-Shabbir "Najafi" azmat-e-yazdaan huwa
Go mualla mei huwi, afsos tu zibha huwa (x2)
Ro rahi hai aaj tak shabbir khak-e-karbala (x2)
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2VUAs8Q
No comments:
Post a Comment