
(Tere qurbaan alamdaar-e-wafa) x4
Chu raha hai aasmaa(n) tera nishaa(n)
Momino(n) pe saayebaa(n) tera nishaa(n)
Tera nishaa(n), lashkar ki shaa(n)
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
(Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
Ay jaan-e-Haider, Zahra ke bete
(Parcham uthaana sikha hai tujhse) x2
Aaye hawaa jab tere alam se
(Ye dil ye jaa(n)) x2 Ho yak zabaa(n)
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
(Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
Aath Muharram Ham yu(n) manaaye
(Bacho(n) ko apne saqqa banaaye) x2
Sharbat pe teri nazre dilaaye
(Zainab ka maa(n)) x2 Sarwar ki jaa(n)
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
(Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
Baab-ul-Hawaaij, tera laqab hai
(Abhi wafaao(n) ka tu hi rab hai) x2
Wo baat kehdu jo zeyr-e-lab hai
(Shah-e-zeeshaa(n)) x2 Rab-e-subhaa(n)
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
(Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
Mashko alam hai teri nishaani
(Ye shor-e-darya ke hai mahaani) x2
Tere qaside parhta hai paani
(Saara jahaa(n)) x2 Mere mehmaa(n)
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
(Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
Kehta hai sabse teri kahaani
(Ye charta suraj, ye behta paani) x2
Gunji dahaari tashnadahani
(Bole har aa(n)) x2 Fakhr-e-azan
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
(Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
Dekha julooso(n) mei hamne aksar
(Dhoop ki shiddat aayi jo sar par) x2
Tere alam ke saaye me aakar
(Hai yak zabaa(n)) x2 Peer-o-jawaa(n)
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
(Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
Tera alam jab ley aaye Sarwar
(Kulsoom royi Sheh se lipat kar) x2
Hasrat se dekhi, Zainab ne chadar
(The tashna kaa(n)) x2 Marsiya khwaa(n)
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
(Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
Ay mere Ghazi, ay ibn-e-Haider
(Teri ata se likhta hai "Mazhar") x2
Kehta hai teri, chawkhat pe aakar
(Tera "Irfa(n)") x2 Har nawha khwaa(n)
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
(Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2
Tere qurbaan alamdaar-e-wafa
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2HGHzyR
No comments:
Post a Comment