Haye Haye Zainab (sa) Makhduma ...haye Haye Zainab (sa) Mazluma.... 4
Jab Shaam-e-gariba Guzar Gayi-
Wawela Wawela
Aur Gyarah Moharram Aa Pahuchi-
Wawela Wawela
The Baara Gale Aur Ek Rasan- Allah (swt) Allah (swt) .....2
Kehti Thi Shahe Waala (as) Ki Behan- Allah (swt) Allah (swt)..... 2
Mera Ghar Luta, Chini Hai Rida, Bharaghar Mera, Qatile Jafa- Are Marya, Nehnawa Tu Bataa-
Sunegi Kaise Zainab (sa) Haye....
Badaz Nabi (saww)jo Ki Hai-
Ummat Ne Mehrwaani-
Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Saani....2
Atthara Baradar Ki Behan Aaj Khule Sar Hai-
Ek Naize Pe Bhai Hai To- Ek Naize Pe Chaadar Hai....
Kise De Sada Sare Karbala Asire Rasan Asire Jafa Dile Gumzada Ne Kiya Marsiya-
Bhulegi Kaise Zainab (sa) Haye
Aale Nabi (as) Ki Hurmat-duniya Ne Kyn Na Jaani-
Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Saani....2
Jo Bibi Nahi Nikli Beparda Kabhi Ghar Se-
Pardes Mein Woh Bibi- Chaadar Ke Liye Tarse
Badha Hai Ye Gum Bade Hai Sitam Ke Hai Khaaq Par Nabi (saww) Ke Haram Sitam Beghadi Bekasi Tashnagi-
Bhulegi Kaise Zainab (sa) Haye
Ek Samt Shaadiyane-ek Samt Nauhakhani-
Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Saani....2
Ye Aale Payambar (as) Ke Ahsaano Ka Badla Hai-
Ye Khas Garibo Ko - Qazaabon Ne Luta Hai....
Dhuwa Hi Dhuwa Fugaa Hi Fugaa Garibul Watan Huwe Beamaan Labe Alqama Bawafa Rodlya-
Bhulegi Kaise Zainab (sa) Haye
Jalte Huwe Woh Khaime- Pyaaso Ki Paas Baani-
Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Saani....2
Woh Tashnadahan Bache Wo Sukhe Huwe Quze-
Ek Mashke Sakina (sa) Par- Do Haath Huwe Sadqe....
Idhar Baawafa Udhar Ashkiya Gira Aag Par Alam Khoon Bhara Yatima Koi Kehke Ye Ro Padi-
Bhulegi Kaise Zainab (sa) Haye
Woh Haath Kimti The- Yaa Kimti Tha Paani-
Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Saani....2
Be Dard Musalmaan Se Zainab (sa) Ne Yahi Pucha-
Sina Ali Akbar (as) Ka- Barchi Ke Liya Tha Kya....
Na Dulha Bana Na Sehra Bandha Woh Qadiyal Jawaan Haa Pyasa Gaya Qaza Ro Padi Karbala Keh Uthi-
Bhulegi Kaise Zainab (sa) Haye
Barchi Ki Woh Ani Aur- Akbar (as) Ki Naujawani-
Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Saani....2
Bhulegi Nahi Baanu Chehra Ali Asgar (as) Ka-
Shabbir (as) Ke Hathon Par-
Haye Laasha Ali Asgar (as) Ka....
Udhaa Di Rida Koi Fateha Mere Laal Ko Bhala Kya Mila Buji Teer Se Tashnagi Bus Yahi-
Bhulegi Kaise Zainab (sa) Haye
Woh Teer Huramala Ka-asger(as) Ki Bezabani-
Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Saani....2
Tukdo Mein Bata Laasha Ek Raat Ke Dulha Ka-
Simta Huwa Ghatri Mein- Qasim Ka Janaza Tha....
Woh Gul Payrahan Dile Panjetan Na Madfan Bana Na Guslo Kafan Thi Mehve Buka Ek Shab Ki Dulhan-
Bhulegi Kaise Zainab (sa) Haye
Thaapo Ki Zat Pe Aayi- Bhai Ki Ek Nishaani-
Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Saani....2
Jab Gyaraah Moharram Ke Suraj Ki Kiran Dekhi-
Sajjad (as) Ne Zanjeere- Zainab (sa) Ne Rasah Dekhi....
Chali Nange Sar Rasan Pehn Kar Bina Bhai Ke Hai Pehla Safar Kahan Alwida Ay Katile Jafa-
Bhulegi Kaise Zainab (sa) Haye
Taiyaariya Safer Ki- Abid (as) Ki Saarbaaani-
Qaidi Bani Khadi Hai Karbal Mein Zehra Saani.,2
Akthar Ki Zameen "mazhar" Nauhe Mein Dhali Ayse-
Jab Shaam Gayi Zainab (sa)- "irfan" E Aza Banke....
Tha Kaisa Sajav Dayae Jafa Kahi Aayi Ne Kayi Ashkiya Haram Nange Sar Kehke Yeh Rodiye-
Bhulegi Kaise Zainab (sa) Haye
Badas Nabi Jo Ki Hai- Ummat Ne Mehrbaani-
Haye Haye Zainab (sa) Haye Haye Shaam.....3
Meri Chaadar Lut Layi Zalim Ne....
Darbaar Gayi Mein Baad Rida....
Haye Haye Zainab (sa) Haye Haye Shaam.....3
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2WaiWO2
No comments:
Post a Comment