●Ya Ali (as) Adrikni
●Ro Ky Bazar Main Daiti Thi Sada Binte Ali (as)
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni
●Nok e Neza Sy Sada Daita Hai Ibn e Zehra (sa)
Log Zainab (sa) Ki Taraf Dekh Rahay Hain Baba
Zair e Khanjar Nazar Ati Hai Tumhari Baiti
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni
●Imtehan Ghairat e Sajjad (as) Ka Kaisa Hoga
Qatal Darbar Main Sajjad Dobara Hoga
Mangnay Aya Hai Bachi Ko Kaneezi Main Shaaqi
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni
●Kehdo Zalim Sy Mujhay Mar Ly Akar Dur’ra
Baba Zainab (sa) Sy Yea Manzar Nahi Dekha Jata
Marta Hai Who Meray Bhai Ky Honton Py Chari
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni
●Sar Khulay Sham Main Sadat, Jidhar Jatay Hain
Log Pathar Liye Pehle Hi, Nazar Atay Hain
Ajj Bazar Main Mar Jaye, Na Koi Bibi
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni
●App Ky Samne Jo Baat Nahi Karti Thi
Ajj Bazar Main Woh Baiti Bhi Khutbay Degi
App Ky Lehjay Ki Is Waqt, Zaroorat Hai Bari
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni
●Abhi Darbar Sy Pehle Hi, Guzar Jayegi
Sun Liya Sani e Zahra (sa) Ny To Mar Jayegi
Log Kehte Hain Hussain (as) Ibn Ali (as) Ko Baghi
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni
●Saray Bazar Ny Hans Hans Ky, Tamasha Dekha
Aur Bhi Shimr Ny Is Baat Py, Is Ko Mara
Jab Tamanchon Py Sakina (sa) Yea, Tarap Kar Boli
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni
●Bab e Sa’at Ka Jo Bazar Sy Dekha Manzar
Thay Takallum Wahan Sub Log Uthaye Pathar
Sani e Zehra (sa) Yea Kehti Hui Naqay Sy Giri
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni
from hum ali walay azadar https://ift.tt/3kcpmKk
No comments:
Post a Comment