Tuesday, 8 March 2022

Jang e Khandaq | Khandaq Ka Waqiya Manqabat Lyrics Mir Hasan Mir 2022

Haider Ki Zulfiqar Ke Johar Dikhaon Ga.
Khundak Na Khaein Aap Main Khandaq Sunaon Ga.

1- Khandaq Mein Dekhney Ko Musalman They Bohat.
Zahir Mein Sab Rasool Pe Qurban They Bohat.
Waisay Tu Woh Nabi Ke Nigehban They Bohat.
Bas Ibn-e-Abad-e-Wod Se Pareshan They Bohat.
Hanstay They Unn Ko Dekh Ke Kuffar Mauj Mein.
Kuch They Ohad Ke Bhagney Walay Bhi Foaj Mein.

2- Lashkar Mein Aisay Mard Bhi Aaye They Be Misal.
Aata Tha Sirf Khaimay Ke Andar Unhein Jalal.
Kartay They Yaad Dil Mein Woh Jang-e-Ohad Ka Haal.
Bhagay They Aisay Sansein Abhi Tak Na Thin Bahaal.
Iss Bar Tu Ajeeb Hai Aafat Pari Hoi.
Pichey Hai Khayi Aagay Hai Khandaq Khudi Hoi.

3- Kehte They Dil Hi Dil Mein Woh Salman Ko Bura.
Oss Ne Hamarey Sath Yeh Acha Nahi Kiya.
Kyun Mashwara Rasool Ko Khandaq Ka De Diya.
Ajmi Ne Inteqam Yeh Arbon Se Le Liya.
Sarkar Ne Suni Nahi Aakhir Kissi Ki Baat.
Phir Aaj Baton Baton Mein Rakh Li Ossi Ki Baat.

4- Guzrey Hain Chaar Saal Hi Iss Baat Ko Abhi.
Laye They Pehli Bar Issay Bazm Mein Ali.
Ab Jitna Yeh Qareeb Hai Utna Nahi Koi.
Our Aaj Tu Hadees Bhi Irshad Ho Gayi.
Waqif Azal Se Hai Yeh Hamarey Mizaj Se.
Salman Ahl-e-Bait Mein Shamil Hai Aaj Se.

5- Kehte They Bees Roz Se Yeh Tees Mar Khan.
Kuch Hain Poraney Dost Bhi Aaye Hoye Yahan.
Aapas Mein Achi Baat Nahi Hain Laraiyaan.
Kuch Tu Karein Khiyal Hamara Sheh-e-Zamaan.
Aisa Na Ho Keh Rishta Porana Yeh Toot Jaye.
Aye Kash Sulha Kar Lein Nabi Jan Choot Jaye.

6- Ik Roz Amar Ne Yeh Dikhai Bohadari.
Khandaq Ko Paar Kar Ke Idhar Aa Gaya Shaqi.
Khaimon Ke Pas Aa Ke Yeh Aawaz Oss Ne Di.
Itnay Ho Aik Mard Bhi Tum Mein Nahi Koi.
Baithay Hoye Hain Khaimon Mein Munh Ko Chupaye Hain.
Kya Aurton Ko Sath Nabi Le Ke Laye Hain.

7- Phir Aik Bar Bola Sitamgar Dahaar Kar.
Eman Hai Tumhara Suna Hai Jehad Par.
Maro Ya Marey Jao Gay Maidan Mein Agar.
Janat Mein Tum Ko Milna Hai Apne Khuda Se Ghar.
Lo Main Khara Hoon Apna Muqadar Sanwar Lo.
Mar Jao Mere Hath Se Ya Mujh Ko Mar Lo.

8- ALLAH Re Oss Ka Khof They Khamosh Sab Ke Sab.
Danton Talay Zaban Thi Our Sil Gaye They Lab.
Din Mein Andhera Cha Gaya Aankhon Mein Misal-e-Shab.
Nagah Aagay Aaya Woh Gustakh Be Adab.
Munh Tak Rahi Thi Maut Bhi Oss Be Usool Ka.
Naizay Se Chak Kar Diya Khaima Rasool Ka.

9- Gustakh Ne Yeh Be Adabana Kiya Jo Waar.
Kuch Our Dar Ke Hat Gaye Ashab-e-Janisar.
Uth Uth Ke Dekhney Lagi Pehlu Se Zulfiqar.
Aisa Howa Tha Door-e-Payamber Mein Pehli Bar.
Tha Ibn-e-Abad-e-Wod Ka Sitara Zawwal Mein.
Rehmat Ko Kainat Ne Dekha Jalal Mein.


from hum ali walay azadar https://ift.tt/FmSuekg

No comments:

Post a Comment