a Hain Nahi Hai Qarar Kabay Ko
Hai Apne Qiblay Ka Khud Intzaar Kabay Ko
Hum Aap Kya Hain Nahi Hai Qarar Kabay Ko
Talaash Mehdi Mein Woh Khud Nikal Parre Ga Abhi
Miley Kkhuda Se Agar Ikhtiyar Kabay Ko
Hum Aap Kya Hain Nahi Hai Qarar Kabay Ko
Dua Zahuur Ki Jab Bhi Kisi Se Mein Ne Suni
Palat Ke Dekha Hai Be Ikhtiyar Kabay Ko
Hum Aap Kya Hain Nahi Hai Qarar Kabay Ko
Jahan Se 13 Rajab Ko Gayeen Theen Bint Asad
Wahan Se Choomoon Ga Mein Baar Baar Kabay Ko
Hum Aap Kya Hain Nahi Hai Qarar Kabay Ko
Har Aik Munkir Haider Ka Sir Qalam Karta
Chalani Aati Agar Zulfiqar Kabay Ko
Hum Aap Kya Hain Nahi Hai Qarar Kabay Ko
Libaas Chodan So Saloon Is Ka Kala Hai
Shayon Mein Karna Parre Ga Shumaar Kabay Ko
Hum Aap Kya Hain Nahi Hai Qarar Kabay Ko
Dar Najaf Pay Jo Mein Ne Kiye Thay Sjday Huzoor
Suron Pay Ho Ke Chalay Hain Sawaar Kabay Ko
Hum Aap Kya Hain Nahi Hai Qarar Kabay Ko
Rajab Ki Terah Usay Jab Bhi Yaad Aati Hai
Khud Apne Aap Pay Aata Hai Pyar Kabay Ko
Hum Aap Kya Hain Nahi Hai Qarar Kabay Ko
Ali Ali Hi Kere Ga Tuwaf Ke Douran
Agar Gaya Kabhi Yeh Khaakhsaar Kabay Ko
Hum Aap Kya Hain Nahi Hai Qarar Kabay Ko
Isi Ne Bakhsh Hai Izzat Farhan O Asher Ko
Diya Hai Jis Ne Yeh Izz O Waqar Kabay Ko
Hum Aap Kya Hain Nahi Hai Qarar Kabay Ko
from hum ali walay azadar https://ift.tt/yiYThPD
No comments:
Post a Comment