Ab Zindagi Bhar Ya Hussain
(Hussain hussain hussain) x2
Ye konsi wiqar he
Bala ka sheh sawar he
Ye bil yaqeen hussain he
Nabi ka noore ain he
Libas he phata huwa
Lahu mein he ata huwa
Tamam jisme naznee(n) chidha huwa kata huwa
Magar kuchh ada se aya Fatima ka ladla
lahu lahu huwi furat aur sukoot chha gaya
kuchh aisa ran para ke kaante pargaye zabaan par
khuda ne iske khoon se likha ye aasman par
jo ghar luta chukka
ali ka ladla
to boli karbala
hussain marhaba
khuda ke saath saath tera zikr hoga ay ghareebe nainawa
Ab zindagi bhar ya (hussain)x3
Ab zindagi bhar ya hussain
Ab zindagi bhar ya hussain
karbobala mein dasween muharram ka roz tha
khanjar tale hussain ne sajde mein sar rakha
rokar pukari zehra ise kon royega
dashte bala mein haatife ghaibi ne di sada
Ab zindagi bhar ya (hussain)x3
Ab zindagi bhar ya hussain
Ab zindagi bhar ya hussain
Woh dil bujhe huwe woh hawaein thami huwi
woh ek behan ki bhai pe nazrein jami huwi
arzo saman ki saas thi goya ruki huwi
zainab ki zindagi ka khulasa ye bangaya
Ab zindagi bhar ya (hussain)x3
Ab zindagi bhar ya hussain
Ab zindagi bhar ya hussain
Din bhar utha ke lata raha aqraba ki laash
hamshakle Mustafa ki kabhi bawafa ki laash
qasim se shahzada e gulbu qaba ki laash
aalam ko jisne kehne pe majboor kardiya
Ab zindagi bhar ya (hussain)x3
Ab zindagi bhar ya hussain
Ab zindagi bhar ya hussain
Jiska hujoom e dardo alam se ye haal tha
sina tha pash pash jigar paemal tha
Rukh par tha tishnagi ka dhuwan dil nidhaal tha
Mojon ki isteraf se aane lagi sada
Ab zindagi bhar ya (hussain)x3
Ab zindagi bhar ya hussain
Ab zindagi bhar ya hussain
Tujhsa shaheed kon he alam me ay hussain
Tu he har ek deedae purnam me ay hussain
Rote hein do jahaan tere gham me ay hussain
Zinda rahega halqae matam mein bhi sada
Ab zindagi bhar ya (hussain)x3
Ab zindagi bhar ya hussain
Ab zindagi bhar ya hussain
Hussain be kafan
Hussasin be khata
Shaheede Karbala
Binae la ilah
khuda ke saath saath tera zikr hoga ay ghareebe nainawa
Ab zindagi bhar ya (hussain)x3
Ab zindagi bhar ya hussain
Ab zindagi bhar ya hussain
Har war mein lainon ne chaha ye barha
Mit jaye is jahaan se ye majlise aza
baqi rahe na naam zameen par hussain ka
Lekin nabi ki beti se Allah keh chuka
Ab zindagi bhar ya (hussain)x3
Ab zindagi bhar ya hussain
Ab zindagi bhar ya hussain
Hai daimi hayat tere naqshe pa ke baad
Ye raaz chaah na dunya ne teri qaza ke baad
te hogayi ye baat bhi karbobala ke baad
haq aur yazeediat ka rahega maarka
Ab zindagi bhar ya (hussain)x3
Ab zindagi bhar ya hussain
Ab zindagi bhar ya hussain
ho dor koi Ali ke bte
jo baat haq he yuhin rahegi
Tere lahu ka ye mojiza he
ye khak khake shifa banegi
anees ho ya dabeer koi
lahu me jabtak he josh baqi
khuda ne wajib kiya he sab par
qalam likhega zaban kahegi
Ab zindagi bhar ya (hussain)x3
Ab zindagi bhar ya hussain
Ab zindagi bhar ya hussain
koi "Irfan" ho ya ho "Mazhar"
hum agar he sada yahi labpar
qabl az karbala khuda hi khuda
bad az karbala hussain hussain
Ab zindagi bhar ya (hussain)x3
Ab zindagi bhar ya hussain
Ab zindagi bhar ya hussain
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2OqDHT2
No comments:
Post a Comment