Al-amaa(n) hazar
Kuchh aise lare jang mein zainab ke dulhare
maidaan se udu bhage sabhi khof ke mare
Ghulthakeran aisa kabhi parte nahin dekha
bachhon ko is andaaz se larte nahin dekha
barhte the kabhi gah sarak jaate the abbas
jab waar who karte the to ye farmaate the abbas
jeete raho auno Muhammad
(Jeete raho auno Muhammad) x2
Tegh zameen ka hunar tumhi dikhate raho
Khoon se talwaar ki pyaas bhujate raho
dushmane shabbir ki hasti mitate raho
haidari jaaho hasham aur barhate raho
Aise laro phir hi kahein fatehe khaiber
(Jeete raho auno Muhammad) x3
Aise chale tegh ab dashto daman kaat de
Waar karo sar pe tum kar who badan kaat de
marhabo antar ke dil tere kafan kaatde
Nehr ki har moj ko tashnadahan kaat de
Jhoom ke khud teghe ali bole muqarrar
(Jeete raho auno Muhammad) x3
Qalb mein jaakar laro lashkare kuffar ke
Chehr pe tewar rakho jafare tayyar ke
Zarb mein andaaz ho haidare karrar ke
Jag uthe dasht se ehle sitam haar ke
Aye baqiyyah se sada doshe hawa par
(Jeete raho auno Muhammad) x3
Saye se talwar ke mot bhi bachkar chale
Ek qadam aage na peeche ye lashkar chale
Charon taraf dasht mein mot ka manzar chale
Mot kahe kaam kya donon jari gar chale
Mere hunar tumne dikhaye hein yahaan par
(Jeete raho auno Muhammad) x3
Har baar sada dete the ey gaysuo walo
Kya kehna he phir bhar ke wahi haat nikalo
Rahwar barhe jaate hein baaghon ko sambhalo
Halka he kari aankh zira poshon pe dalo
In hathon ke boson ke liye aye payambar
Qasim bhi kahe mein bhi kahun aur ali akbar
(Jeete raho auno Muhammad) x3
Aun ye kehne lage khub Muhammad lare
Goya Muhammad huwe aun bhi behad lare
Maut ko bhi dasht mein karte huwe rad lare
Donon lare is tarah jaise ab o jad lare
Maa bhi dare khaima pe kehne lagi rokar
(Jeete raho auno Muhammad) x3
Larte huwe nehr par aagaye al akhtasar
narghae ada mein phir girgaye donon pisar
Teer kahin se chale aur kahin se tabar
Shah ko awaz di girte huwe khaak par
Pohonche shahe karbobala tha yahi lab par
(Jeete raho auno Muhammad) x3
Agaye abbas ki ankhon mein ashke aza
Jeet gaye pyaas se nehr par who mehlaqa
Nargae aada mein bhi donon ko ye yaad tha
Maa ki naseehat pe hi hogaye donon fida
Shukr ke sajde mein giri madare muztar
(Jeete raho auno Muhammad) x3
Donon ko maidan se khaime mein laye Hussain
Halqa kiye lashon ka karne lage sab hi bain
Fizza ne awaz di binte shahe mashreqain
Shah pe sadqe huwe dekh tere nure ain
Zainabe muztar ne kaha shane hila kar
(Jeete raho auno Muhammad) x3
Kya hashr tha khaime mein bapa mazharo irfan
Shabbir jo lasho(n) pe huwe lashon chaak girehban
Lashon se mukhatib yun huwi zainabe zishan
Tum bhai pe qurban huwe tujpe mein qurban
Jo kehke chale ghar se wohi karke dikhaya
Ab qadr huwi maa ko bara fakhr he tumpar
(Jeete raho auno Muhammad) x3
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2TVkdf8
No comments:
Post a Comment