Inkar asmaa(n) ko he
Razi zameen nahi(n)
Asghar tumhare khoo(n) ka thikana kahi(n) nahi(n)
Chehre pe khun mal ke shahenshahe behrobar
Ehsaan kardiya he bara qainat par
Ye zameen asghar ka sadka
asmaan asghar ka sadka
(roze ashura se ab tak) x2
khaa rahe hein dono(n) jahaa(n )
sadka ali asghar ka
sadka ali asghar ka
Yunhi nahin ye bezubaan
Babul hawaij bangaya
Is ke waseele se khuda
Sunta raha sab ki dua
Dunya ke har zi nafs ko
Likhna para kehna para
(roze ashura se ab tak) x2
khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka
sadka ali asghar ka
Malik he ye kaunain ka
Beta he ye hasnain ka
Is bezaban se lo laga
Zamin he ye sukh chain ka
Jab milgayi gham se shifa
Nara bana darain ka
( roze ashura se ab tak) x2
khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka
sadka ali asghar ka
Ye rizk jo khate hei(n) hum
Kaise mila kyunkar mila
Sunkar zamee(n) is baat ko
Kehne lagi ye bar mala
Mein banj hojati agar
Girta lahu besheer ka
(roze ashura se ab tak) x2
khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka
sadka ali asghar ka
Tum jab kabhi Pani piyo
Shukre Ali Asghar kaho
Shukre Ali Asghar kaho
Jab rizk ki tangi na ho
Ye baat mein ne kyun kahi
Is ka sabab he momino
(roze ashura se ab tak) x2
khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka
sadka ali asghar ka
Shabbir ke besheer ka
Jhula kahin jo dekhlo
Pehle karo usko salam
Aur phir ziyarat bhi karo
Koi sabeel aaye nazar
Jab rah mein to ye kaho
(roze ashura se ab tak) x2
khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka
sadka ali asghar ka
Ye raz he ya mashwara
Sunlo magar ahle aza
Jab bhook ki shiddat barhe
Miljaye jab aabo ghiza
Karna isi besheer se
In nematon ka shukriya
(roze ashura se ab tak) x2
khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka
sadka ali asghar ka
Is dard mein dube huwe
Qirtas ne samjha diya
Chehre pe jo sheh ne mala
Us khun ne batladiya
Meine parhi jab karbala
Ehsaas ne samjha diya
(roze ashura se ab tak) x2
khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka
sadka ali asghar ka
Har majlise shabbir mein
Kehta he har zakir yahi
Is majlise shabbir mein
Bethi he maa shabbir ki
Miljata he unko sukoon
Kehte hein jab ye maatami
(roze ashura se ab tak) x2
khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka
sadka ali asghar ka
Jo zojae hur laayi thi
Pyasion ki khaatir haziri
Ghar ghar mein ye ehle aza
Karte hein uski perawi
Jab dekhte hein haziri
Kehta he dil ro kar yahi
(roze ashura se ab tak) x2
khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka
sadka ali asghar ka
Irfano mazhar abidi
Pegham he apna yahi
Socho agar to rizq hein
Ye ilm or ye agahi
Unke karam ki bheek he
Ye lafz aur ye shairi
(roze ashura se ab tak) x2
khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka
sadka ali asghar ka
Asghar tumhare hasne pe roti he foje sham
Tum teer kha ke aye ho ya teer maarke
Deene haq ke tazkiron ko is tarah se aam kar
Name asghar ka wazifa har ghari har gaam kar
Jab khuda ke deen ke saare sahara chhut gaye
Tab chala deene khuda asghar ki ungli thaam kar
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2UhGjrw
No comments:
Post a Comment