Friday, 15 March 2019

Ahista Chalo Noha Lyrics Irfan Haider 2014

Haay..

Damishq ka hai safar berida hai aale nabi

Na mehmile na kajawa hai na hawdaj hai koiii

Aseer sab the magar ek hi rasan me bandhe

Gala sakina ka hai shaane haram ke jakde hue

Rasan jo khichti hai karti hai sakina naale..

Thehro. Ahista chalo..(3)

Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2)



Ae amma gala is tarah jakda hai rasan me

Do gaam bhi chalne ki nahi jaan badan me..(2)

Khulwa do rasan..(2)

kardo ye ehsaaan, rassi se gala ghut-ta hai mera

Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2)



Kis shaan se nikli thi sawari mere ghar se

Ammu mujhe khud laaye the mehmil me bitha ke..(2)

Ek ye hai safar..(2)

Haaye phuphi jaan, rassi se gala ghut-ta hai mera

Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2)



Ye dekhke rote hai mere baba sina par

Rone pe mujhe durre lagata hai sitamgar..(2)

Rote hai isi..(2)

Ghum me chachajaan, rassi se gala ghut-ta hai mera

Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2)







Kya din hai mere naaz uthata nhi koi

Amma meri saaanso ka bharosa nhi koi..(2)

Chehre se aziyat hai..(2)

Numaayaa, rassi se gala ghut-ta hai mera

Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2)



Mai aapke zakhmo se bhi waqif hu phuphijaan

Kuch wade nibhane hai mujhe barsare zindaan..(2)

Bus kehti hu mai, bus kehti hu

Bahaale pareshaan, rassi se gala ghut-ta hai mera

Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2)



Marjaengi marjaegi is raah me muztar

Dada ko sada deti hu har gaam tadap kar..(2)

Ya shahe najaf..(2)

Sayyede zeeshaan, rassi se gala ghut-ta hai mera

Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2)



Ae amma kaleje me ulajhne lagi saanse

Ab aur safar karne ki taqat nahi mujhme..(2)

Jaa paungi kya..(2)

Janibe zindaan, rassi se gala ghut-ta hai mera

Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2)



Ae mazharo irfan sakina ki fugha par

Zainab ne kaha mai bhi tadap jati hu dukhtar..(2)

Jab kehti hai tu..(2)

Mujhse meri jaan, rassi se gala ghut-ta hai mera

Ahista chalo ae phuphi amma rassi se gala ghut-ta hai mera, Ahista chalo..(2)


from hum ali walay azadar https://ift.tt/2Y19jD9

No comments:

Post a Comment