Haaye...
Ali akbar..ali akbar
Ali... Ali akbar
Koofe ke bazaar me ek zaifa ki padi nazar
naize pe akbar ka sar
dekhke karne lagi kalaam
ayyohal badrut-tamam
aye kaash...aye kaash
kaash tujhse pehle margai ho teri maa
aye naujawaaa..
haan.. ali ali akbar ali ali
shabihe payambar ali ali
1. Haaye,
Dekhke akbar ko pukari wo zaifa
gesu tere wallail hai wal fajr hai chehra
wan-najm hai aankhein..ali akbar ali akbar
karti hu duaen..ali akbar ali akbar
chand jaise chehre wali, ae hasee jawaa
kaash tujhse pehle margai ho teri maa
2. Haaye,
mai bhi to ek maa hu yaqee hai mujhe itna
ke tera qatil koi insaa nahi hoga
sar dekhke tera..ali akbar ali akbar
dil rota hai mera..ali akbar ali akbar
3. Haaye, aisa jaha me kabhi hota bhi nahi hai
tera mera khoon ka rishta bhi nahi hai
tu kaun hai mera..ali akbar ali akbar
kyu karti hu nauha..ali akbar ali akbar
4. Haaye, naize tale baithke ye bibiya saari
tere liye karti hai sab girya o zaari
masroofe aza hai..ali akbar ali akbar
sab mehwe buka hai..ali akbar ali akbar
5. Haaye, rooh meri kaanp gayi soch ke akbar
kaise juda tan se kiya hoga tera sar
bedard hai duniya..ali akbar ali akbar
mai kehti hu itna..ali akbar ali akbar
6. Haaye, sukhi rage teri sunati hai kahani
tujhko pilaya nahi do bund bhi pani
tu kitna tha pyasa..ali akbar ali akbar
kisne tujhe maara..ali akbar ali akbar
7. Haaye, kya yaha maujood koi hai teri behna
du use seene se lagakar tera pursa
marjae na muztar..ali akbar ali akbar
nauha mera sunkar..ali akbar ali akbar
8. Haaye, maine kisi bibi se ye baat suni hai
jisne tujhe paala hai wo teri phuphi hai
kya sabr hai uska..ali akbar ali akbar
dil phatta hai mera..ali akbar ali akbar
9. Haaye, mazhar o ifran qayamat ka tha manzar
aagayi sadaat ke halqe me wo muztar
karte hue nauha..ali akbar ali akbar
arey kohraam bapa tha..haye ali ali akbar ali ali
shabihe payambar ali ali..(3)
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2O8Yg6o
No comments:
Post a Comment