Allah, allah, allah
Allah, allah, allah, allah..(2)
Ya maliko, ya khaliqo, ya batino, ya zahiro
ya qadiro, ya hakimo, ya momino, ya hadiyo
ya awwalo, ya akhiro, ya qaimo, al nafi'o
Allaho qabla kullo shay
Allaho ba'da kullo shay
Yeh kehke haider ne..(2)
Yeh kehke haider ne,
sajde mein rakhi peshani
Allaah...Allah
Allaho baqi min kulle faani..(2)
1. Rab ka irada haider aur uski marzi bhi
iske haatho'n ne gundhi adam ki matti bhi
iske bacho'n ke naukar, jannat ke darzi bhi
ya rabbe zuljalal..(2)
har jumla haider ka..(2)
har jumla haider ka, is misre ka hai saani
2. Haatho'n se marna baa'nte, thokar se jeena bhi
marhab ke tukde karde, dharti ka seena bhi
khud hai manshoore yazdaa, uski kapina bhi
ya rabbe zuljalaal..(2)
dawaa salooni ka..(2)
dawaa salooni ka, aur phir bhi baat ye maani
3. Khud hi qur'aan e natiq, aur khud hi qaari hai
iske haatho'n ki khilqat, ye duniya saari hai
fuzto be rabbil kaaba, ye hamd e baari hai
ya rabbe zuljalaal..(2)
kehdi do lafzo mein..(2)
kehdi do lafzo mein, thi baat badi toolani
4. Chalta hai mera sikka arz o sama par
mai to rahunga zinda, hukme khuda par
mujhpe qaza gir jaye, ya mai qaza par
ya rabbe zuljalaal..(2)
ye sunke haider se..(2)
ye sunke haider se, duniya ko hui hairani
5. Ek din nuseri bola, kyu mujhko maara hai
jo kuch aankho'n se dekha, maine wo bola hai
meri socho ka malik, iske hi jaisa hai
ya rabbe zuljalaal..(2)
ye hamd e baari hai..(2)
ye hamd e baari hai, haider ki qasida khwani
6. Nafse khuda bhi haider, aur iska pehlu bhi
wo hai hijab e akbar, wird e allahu bhi
maana hai waliyo'n ne bhi, kehte hai sadhu bhi
ya rabbe zuljalaal..(2)
samjha na koi isko..(2)
samjha na koi isko, baat hai ye irfani
7. Karbobala se pucho, is jumle ka matlab
sukhe kooze dikhlake, kehdenge tashna lab
besar laashe bolenge, ya phir bibi zainab
ya rabbe zuljalaal..(2)
zere khanjar kehdega..(2)
zere khanjar kehdega, karbobala ka baani
8. Kulle eemaa'n ki baatein, eemaa'n hai mazhar
isme hai hami tera, irfan e haider
ye baatein karte hai hum, mimbar pe jaakar
ya rabbe zuljalaal..(2)
han ishq e haider ne..(2)
han ishq e haider ne, haider ki baat hai maani
Allaho baqi min kulle faani..(2)
ya rabbe zuljalal..(2)
from hum ali walay azadar https://ift.tt/2W6FfnZ
No comments:
Post a Comment