Thursday, 14 March 2019

Bhaiya Sajjad Noha Lyrics Irfan Haider 2016

Haaye,
Rukhsat se kuch dayr pehle, akbar ko yaad aayi sughra
kehne lage roke akbar, sajjad ke paas jaakar
sunlo wasiyat baradar..(2)
bhaiyya sajjad..(3)
sughra se jaake kehna..(2)

1. Mai aane waala tha sughra..(2)
ke nainawaa me nikal aaya aaftab e daham
qareeb aake rafeeqo se bole shahe umam
yahi mazaar banenge..(2)
yahi pe soyenge hum
ghareeb e zehra ko ghere huwe hai ehle sitam
sughra se jaake kehna
mai is liye na aaya..
bhaiyya sajjad..(2)
sughra se jaake kehna..(2)

2. Mai aane waala tha sughra..(2)
ke dediya mere baba ne mujhko hukm e azaa'n
udhar musalle pe mehwe dua phuphi aur maa
kamar hussain ki sadmo..(2)
se ho chuki thi kamaa
zara si der me laasho'n se saj gaya maidaa'n
sughra se jaake kehna..

3. Mai aane waala tha sughra..(2)
ke yak ba yak meri aankho'n ne dekha ye manzar
chale furaat ki janib phuphi ke lakhte jigar
chacha ke paas khadi hai..(2)
sakina tashna jigar
kamar me patka sajaye hai qasime muztarr
sughra se jaake kehna...

4. Mai aane waala tha sughra..(2)
ke maine dekha shahe karbala hai mehwe buka
sabab jo rone ka pucha to bole wa waila
hussain zulm ke jungle..(2)
mein reh gaya tanha
mai lut gaya mera ghaazi diler maara gaya
sughra se jaake kehna...

5. Mai aane waala tha sughra..(2)
ke mujhse baba ne aakar kaha ae noore nazar
akhi ki laash uthani hai tum chalo lekar
chacha ke baad hi chalna..(2)
hussain par khanjar
mai aise waqt mein aata watan agar khwahar
sughra se jaake kehna...

6. Mai aane waala tha sughra..(2)
ke baade qatl e alamdaar e karbala dekha
ghira hai zulm ke narghe me ibne shere khuda
tuhi bata ke nibhaata..(2)
mai kis tarha waada
udhar behen ki mohabbat idhar tha farz mera
sughra se jaake kehna...

7. Mai aane waala tha sughra..(2)
ke mujhse dard ke irfaan ne kaha akbar
jafa ke dasht me tu hai rasool ka mazhar
tere baghair adhoora..(2)
hai naama e mehzar
hussain tera bhi laasha uthaenge rokar
sughra se jaake kehna

mai is liye na aaya
bhaiyya sajjad..(2)
sughra se jaake kehna..(2)
Mai aane waala tha sughra......


from hum ali walay azadar https://ift.tt/2uapRLk

No comments:

Post a Comment